Thursday, May 11, 2023

umar ka safar

 



Dosto zindagi roz ek naya baab hai...zindagi her pal ek naya khwab hai...kal ek aisi taabeer hai jisey mumkin karne ka ekhtiyaar sohne rab ke paas hai..jo hamaare her khwab se pyaara hai...hamara her khayal uska ishara hai...

Ab lagta hai ek umar ghaflaton may guzar gaii...zindagi ek shor ke siwa kuch na thi...chahe vo duniya ka shor ho ya khahishon ka..kahaan khud ko sun sakey...gar sun lete khuda ko sun lete...gar khuda ko sun lete khud ko pehchaan lete...gar khud ko pehchaan lete khuda ko pehchaan lete...

Mokhtasar hai zindagi ye aaj patta chala hai...mud kar dekha tou khaali haath tahi daman paaya khud ko...itne saalon ki musafet bhi ek lamha si lagi...akhir daman-e-yaar haath aaya tou kub aaya...sahi kahan tha aapne....jub ekhtiyar bakhshe jaayenge us waqt per tera ekhtiyar na hoga...na koi aah hi rahegi na koi arzoo bachegi...bas ek hi armaan hoga...

Aye kaash zindagi az sar e nau shuru hoti...ji bhar ke khuda ko sunte ....umar bhar us se mohabbat karte...

Shukur hai Parwardigar ka...ke usne raah di rahbar bhi...ghum-e-zindagi ke shogal se koson door le aaya...yaane ungli thaam kar derd ka sagar abur kara diya...jahan ishq-e-haqeeqi ki maye thi aur saaqi khud ishq tha aur ashiq ka dil pyaala...jo chalak utha hai...dil dil ko chalkaane ko betaab hua jaata hai..

jahan kahin koi mayus ankh dikhaii de...jahaan koi derd sunaii de...kahin koi udaas manzar ho...bas aisi mehefilein nasib hojaati hain jinki sangaton may vo atiya farogh paata hai jo anmol hai besh baha hai adam ki baqa hai...