Tuesday, October 10, 2023

Duniya imtihan hai...

 



Mere khuda ...saare sabut pesh ho chuke...dil ne bhi gawahi di...ke ek tere siwa koi nahi...saare ahkaam tere...saare faisle bhi tere...ek sar hai banda, khum hai tere aage...ke tere halam may hi karam hai...teri rahmat hi mohabbat hai...

Phir ye khula kya hai...bande ki beqarari ki wajah kya hai....uske muntashar zehen ke anginnat sawalon nay tujhe hi tou dhunda hai...tujhe paane ke hi jatan hain saare...sab ki qurbaton may tu hi tou mila hai...nazar nay bhi kaha hai ke nazaron may tera hi jalwa hai...

Mere malik...teri takhlikh may koi kami nahi rakhi tu nay...apni rahmat may koi kami nahi ki tu nay...teri bekaraan wussaton ke sadqe banda tera , sarapa tera hi karam hai...

Duniya kya rab si sohni hai jo banda duniya may ghaltaan hai..duniya ki takhlikh makhlukh ka imtihaan hai...anjaan banda duniya ke ishq may neem jaan hai...kaash perde ke peeche jhankne ka hunar rakhta, jaan leta yehin tou khud ki pehchaan hai...

Thursday, May 11, 2023

umar ka safar

 



Dosto zindagi roz ek naya baab hai...zindagi her pal ek naya khwab hai...kal ek aisi taabeer hai jisey mumkin karne ka ekhtiyaar sohne rab ke paas hai..jo hamaare her khwab se pyaara hai...hamara her khayal uska ishara hai...

Ab lagta hai ek umar ghaflaton may guzar gaii...zindagi ek shor ke siwa kuch na thi...chahe vo duniya ka shor ho ya khahishon ka..kahaan khud ko sun sakey...gar sun lete khuda ko sun lete...gar khuda ko sun lete khud ko pehchaan lete...gar khud ko pehchaan lete khuda ko pehchaan lete...

Mokhtasar hai zindagi ye aaj patta chala hai...mud kar dekha tou khaali haath tahi daman paaya khud ko...itne saalon ki musafet bhi ek lamha si lagi...akhir daman-e-yaar haath aaya tou kub aaya...sahi kahan tha aapne....jub ekhtiyar bakhshe jaayenge us waqt per tera ekhtiyar na hoga...na koi aah hi rahegi na koi arzoo bachegi...bas ek hi armaan hoga...

Aye kaash zindagi az sar e nau shuru hoti...ji bhar ke khuda ko sunte ....umar bhar us se mohabbat karte...

Shukur hai Parwardigar ka...ke usne raah di rahbar bhi...ghum-e-zindagi ke shogal se koson door le aaya...yaane ungli thaam kar derd ka sagar abur kara diya...jahan ishq-e-haqeeqi ki maye thi aur saaqi khud ishq tha aur ashiq ka dil pyaala...jo chalak utha hai...dil dil ko chalkaane ko betaab hua jaata hai..

jahan kahin koi mayus ankh dikhaii de...jahaan koi derd sunaii de...kahin koi udaas manzar ho...bas aisi mehefilein nasib hojaati hain jinki sangaton may vo atiya farogh paata hai jo anmol hai besh baha hai adam ki baqa hai...

Sunday, March 5, 2023

Jaa-e-Qaraar

 



Zindagi ka nizaam bhul bhulliyon ki tarha hawa mahal per hi tika hua hai..aur insaan hai ke sau baras ke saude taye kar leta hai..ya kum az kum khwab-o-khayal ki nazar kar deta hai...halaanke roz ek manzar-e-hayaat manzil-e-haqeeqi ki jaanib ishaara kar raha hota hai...phir bhi haqeeqat shanas baatin ki nafi may umar guzar leta hai....

Jaa-e-Qaraar ....darasal asal paane ko hi beqaraar hai...ye baichaini...ye besakuni....darasal usi ka peshkhima hai...aur hum insaan duniya ki rangarangi aur rishton ki besabaati may mubtila hain...akhir hum samajh kyon nahi jaate....sanbhal kyon nahi paate...baatini tanbih per kaan kyon nahi dharte...haq ki bazgasht per ghaur kyon nahi karte....

Khuda apni maqluq may khud apna hi mulahiza karna chahta hai..warna in inayaat ko bashar may widiyet kyon karta...unki yaad dahani ke liye apne mehbub payambaron  ko jalwanuma kyon karta..ke vo sabaq awaleen dohraya jaata rahe jisey bisraane may bashar ne koi kasar nahi chodi hai...

Insan ko akhir apne hone ka gumaan kyon hai...halaanke kuch bhi uska apna nahi hai...sab kuch us rab-ul-alameen ka bakhsha hua hai...uski apni zaat khud kasoti hai...faramoshi tou baaghi ki tahreek hai....jisey chut mili hui hai mahashar tak...kya hum mahshar tak hosh nahi paayenge...????? 

Nadan Dost nadan dil dono hi mufeed saabit nahi hote...aapki zindagi ka behtereen sarmaya chin lete hain...huma waqt ki besakuni ki wajah tak nahi milti...vo beshbaha niyamat jo aapki zindagi may anqa hai...uski wajah bhi khud hum hain...ke hum bujh ka nahi bujh paate...ke guzarte pal wapes nahi aate...faisle se pehle apne faislon per nazar saani kar lein....apne sharf per ek meherbaani kar lein...

Thursday, March 2, 2023

Husn-e-ibadat



Husn-e-ibadat

sajdon may sar jhukaya jhuka kar bhi na khud ko paaya tou phir khuda ko kaise paaoge...vo ibadat jahan bande aur khuda ke darmyan koi khayal bhi maujud ho phir raaz-e-dil bayan kaise ho...rab chahta hai mukamal suprudgi...jub aaina rubaru ho tou deedar kaise na ho...so aye musalmano, ibadat may gar husn-e-ibadat ka jalwa na ho to phir jalwa-gah tak rasaii kaise ho..

ibadaat tou rabul izzat ke qurb ka zariya hain..aur jiska imaan kaamil ho us tak rasaii pa hi leta hai..yaqeen aur mohabbat ki buniyad per junnat tameer hoti hai...jahan chah sirf khuda ki hoti hai...na nazaaron ki na niyamaton ki...qurb-e-khuda se badh kar kya niyamat hosakti hai...basharte ke banda mohabbat ka sabaq padh le, qurb-e-haq ka maza chak le...

ibadaat ka shumaar koi kar hi nahi sakta jub ke her dhadkan ka vird hi Allahu hai..yaane ke tu na bicha jaye namaz...na tere haath may sarakti ho tasbih ...huma waqt tu bazat-e-khud hai zikir-e-ahadahu...so phir jo Rasul ne kaha maan jaa...jo nabiyon se mila le bakhuda...us ehsaan-e-azeem ka badha martaba...shikam-e-maadar se hi mila ho jisey ye waasta...vo bhala kyon kar bhul sakta hai apna raasta...

So haq-e-ibadat hai yehi...apni zindagi ko sanwar le...az sar-e-nau qaraar le..waqt mokhtasar hai...haasil-e-muddua hai raza-e-khuda...wahi hai tere wajud ki baqa...

Wednesday, February 22, 2023

Roz-e-Misaaq (the day which was promised of)

 


Aaj phir ek naii arzu...aaj ka ye lamha naii soch lekar mila hai...phir se ekrang hogaye hain dil aur dimagh ki herkaten...tou phir chalein aayen dekhein mil kar ke is waqfa-e-hayat ki kya hai arzu...wahi ek tou nazar aaye hai ku ba ku...

Hua yon ke dil-o-dimagh is sunnatte se nikalne ka bahana dhund hi rahe they ke khayaal roshan hua...kyon na ek safah zindagi ka khara khara pesh ho...khud se rubaru hone ka is behter tareeqa koi nahi...

Maine chaha , maine socha  , is maine may mai hi nahi hun Dosto...ye soch bhi usi ki hai ye chah bhi usi ki hai jisne mujh se likhwaya...keh raha hai ghaur kar...khud may haazir ho...farar lahaasil hai...qarar phir bhi nahi ...so qarar iqrar may hi chupa hai..ke tera kuch bhi nahi tou phir ye matam kaisa....

Sohne rab ki maan jaa..apni udasiyon ko parey hata..dekh rab tujh se chahta hai kya...khuda ko sada haazir naazir jaan...roz-e-meesaq (roz-e-azal)ka waada yaad kar...Azal se tu hai abad ahad ka...apna ahad nibha..

Roz-e-meesaaq----her insani rooh se liya gaya ahad...Allah taala ki tawheed per imaan laayega..uske sath kisi ko shareek nahi tehrayega...isey "meesaaq-e-alast" kehte hain......