Sunday, March 5, 2023

Jaa-e-Qaraar

 



Zindagi ka nizaam bhul bhulliyon ki tarha hawa mahal per hi tika hua hai..aur insaan hai ke sau baras ke saude taye kar leta hai..ya kum az kum khwab-o-khayal ki nazar kar deta hai...halaanke roz ek manzar-e-hayaat manzil-e-haqeeqi ki jaanib ishaara kar raha hota hai...phir bhi haqeeqat shanas baatin ki nafi may umar guzar leta hai....

Jaa-e-Qaraar ....darasal asal paane ko hi beqaraar hai...ye baichaini...ye besakuni....darasal usi ka peshkhima hai...aur hum insaan duniya ki rangarangi aur rishton ki besabaati may mubtila hain...akhir hum samajh kyon nahi jaate....sanbhal kyon nahi paate...baatini tanbih per kaan kyon nahi dharte...haq ki bazgasht per ghaur kyon nahi karte....

Khuda apni maqluq may khud apna hi mulahiza karna chahta hai..warna in inayaat ko bashar may widiyet kyon karta...unki yaad dahani ke liye apne mehbub payambaron  ko jalwanuma kyon karta..ke vo sabaq awaleen dohraya jaata rahe jisey bisraane may bashar ne koi kasar nahi chodi hai...

Insan ko akhir apne hone ka gumaan kyon hai...halaanke kuch bhi uska apna nahi hai...sab kuch us rab-ul-alameen ka bakhsha hua hai...uski apni zaat khud kasoti hai...faramoshi tou baaghi ki tahreek hai....jisey chut mili hui hai mahashar tak...kya hum mahshar tak hosh nahi paayenge...????? 

Nadan Dost nadan dil dono hi mufeed saabit nahi hote...aapki zindagi ka behtereen sarmaya chin lete hain...huma waqt ki besakuni ki wajah tak nahi milti...vo beshbaha niyamat jo aapki zindagi may anqa hai...uski wajah bhi khud hum hain...ke hum bujh ka nahi bujh paate...ke guzarte pal wapes nahi aate...faisle se pehle apne faislon per nazar saani kar lein....apne sharf per ek meherbaani kar lein...

No comments:

Post a Comment